Android क्या होता है – What Is Android In Hindi
![]() |
Android OS क्या होता है? |
Aapne Dekha Hoga Ki Laptop Ya Computer Me Jyadatar Hum Windows Istemaal Karte Hai.Thik Isse Prakaar Hum Android Use Kiya Karte Hai Aur Thik Isse Prakaar Mobile Me Sabse Jyada Isse Ka Istemaal Kiya Jata Hai.Android Ko Starting Me Sirf Phone Ya Smart Phone Ka Liye Hi Launch Kiya Gaya Hai.
Aaj Ka Time Me Android Ke Marketing Badhti Hue Dekha Gaya Hai.Islyie Hi Google Ne Apne Aur Devices Me Android Ko Launch Kiya Hai Jaise Ki TV, Smartwatch etc. Sabse Acchhi Baat To Ye Hai Ki Ye Ek Free Open Source Software Hai.Iske Liye Aapko Kisi Bhi Prakaar Ka Koi Charge Nahi Dena Hai.Aur Yaha Par Aap Iska Source Code Bhi Dekh Sakta Hai.
Android OS Open Source क्या है?
Guys, Jaise Ki Maine Aapko Bataya Ki Android Ek Open Source Software Hai. To Chalyie Aab Mai Aapko Iske Bare Me Vistaar Se Batata Hu Ki Open Open Source Software Kya Hai.Open Source Software Free Of Cost Available Hai.Aur Iska Source Code Open Rahta Hai Matlab Jo Chahe Wo Visit Karke Dekh Sakta Hai.Agar Hum.
Example Ki Baat Kare To Xiaomi Ke Mobile Phone Jinme MIUI Update Dekha Hoga Wo Android Ke Source Code Ko Customize Karke Banaya Gaya Hai.Iske Version Jyadatar Stable Hote Hai.
Linux kernal क्या है?
Kernal Operating System Me Aapko Driver Dekhne Ko Mil Jayenge Joki Direct Hardware Se Interact Hote Hain. Kernal Operating System Me Sabhi Parts Hardware Se Connect Hote Hain. Isme Har Software Ke Liye Software Hote Hai Jisse Hum Driver Kahte Hain. Thik Isse Type Me Linux Kernal Bhi Direct Hardware Se Interact Hote Hai.Isme Bhi Aapko WiFi, Bluetooth, USB Etc Ka Liye Drivers Dekhne Ko Mil Jayenge.
Android Operating System की History Hindi –
Android Inc. Dwara Android Ko November 2007 Me Sabse Pahile Launch Kiya. Iske Release Karte Hi Iske Popularty Badhti Gaye. Aapki Jankari Ka Liye Bata De Ke Ek Scientist The Andy Rubin Jinho Ne 2003 Me Hi Android Inc. Ki Suruat Kar De The.Jisse Google Ne 2005 Me Kharid Liya Tha.Andy Rubin Ko Kafi Knowledge The Islyie Unko Android Ka Head Bana Diya Gaya Lakin Kuch Samaya Ka Baad Unko Koi Dusra Project Par Kaam Karna Tha.Islyie Unhone Google Ki Company Ko Chod Diya.
Halaki Google Andy Rubin Se Kafi Inspire Hue The.Islyie Hi Google Ne Fir Apne Project Android Kay Liye Year 2013 Me Sundar Pichai Ko Android Ka Head Bana Diya. Jinhone Apne Kathin Paresaram Se Android Ko Ek Alag Hi Pehchaan De.Aur Agar Aaj Ka Time Me Dekha Jaye To Android OS Kafi Popular Hain.
Android Operating System की Version History –
Android Operating System Ko Behtaar Aur Acchha Performance Ka Liye Iske OS Version Ko Update Kiya Gaya. Jaise Ki Aapne Dekha Hoga Android Lollipop, Android Kitkat, Aur Android Naugat Etc Ye Android OS Kay Hi Ek Type Hai Joki Samaya Samaya Par Inme Update Karne Ka Baad Ye Launch Kiye Gaye Hain. Inn Android OS Ka Alawa Android Ka Kai Sare Version Hai Jinka Launch Hone Ka Baad Android Me Kai Sare Badlav Aur Sudhar Dekhne Ko Mile Hai. Main Aapko Sahi Se Samajhane Kay Niche Ek List Di Jisse Aap Dhyan Se Padhe –
- Android Alpha (1.0)
- Android beta (1.1)
- Android Cupcake (1.5)
- Android Donut (1.6)
- Android Eclair (2.0, 2.1)
- Android Froyo (2.2)
- Android Gingerbread (2.3)
- Android Honeycomb (3.0, 3.1, 3.2)
- Android Ice Cream Sandwich (4.0)
- Android Jellybean (4.1, 4.2, 4.3)
- Android Kitkat (4.4)
- Android Lollipop (5.0, 5.1)
- Android Marshmellow (6.0)
- Android Naugat (7.0, 7.1)
- Android Oreo (8.0, 8.1)
Upar Diye Sare Android Operating System Ka Alag Alag Update Ka Baad Aaye Hai.Jisko Acchhe Performance Ka Liye Banaya Gaya Hai.Isme Aapko Ek Baat Khaas Dikh Rahi Hogi Inn Update Ke Sare Naam Kisi Sweets, Ya Chocolate Par Hi Hain.
Why is Android so used? – Android इतना ज्यादा इस्तेमाल क्यों किया जाता है
Agar Hum Baat Kare Android Operating System Ki To Ye Ek Behtreen Operating System Me Se Ek Hain.Sabse Acchhi Baat To Ye Ek Open Aur Free Source Software Hai.Iske Liye Aapko Alag Se Paise Kharch Karne Ki Jarurat Nahi Hain. Ye Operating System Linus Kernal Par Based Hai. Android Starting Me Hi Kafi Effective Raha Jiske Karan Aaye Din Inme Naye Naye Update Dekhne Ko Milta Rahte Hai.
Android OS Ne Kam Samaya Me Hi Apne Ek Naye Pahchaan Bana Li Hai. Aur Iske Khaas Baat To Ye Hai Ki Android Based Mobile Phones Kafi Kam Price Par Available Hai. Jisme Aapko Lagbhag Har Feature Dekhne Ko Mil Jata Hai. Aur Wahi Dusri Aur Iska Competitor Apple iPhone Kafi Costly Hote Hai. Iska Popular Hone Ki Wajah Hai Kyuki Inki Market Kafi Pahile Hi Ban Gaye Thi. Wahi Agar Baat Kare Windows Phone Ki To Ye Late Me Launch Kiya Gaya Tha Aur Market Bhi Kuch Khaas Nahi Thi Islyie Iske Market Thoda Down Hai.
Aapko Apna Har Android Devices Me Khubiya Khubiya Dekhne Ko Mil Jayengi. Isme Aapko Kuch Kami Bhi Dekhne Ko Mil Jayenge Jaise Ki Har Smartphone Ka Hardware Aur Company Ka According Hi Customized Kiya Gaya Hain. Jiske Wajah Se Latest Update Sabhi Devices Tak Nahi Pauch Pate.Jinka Karan Purane Devices Kafi Vulnerable Aur Time Ka Sath Kharab Aur Unusual Hote Hain.
To Guys, Chalyie Main Aab Aapko Batata Hu Ki Android Me Aapko Kya Kya Update Dekhne Ko Mile Hain.
Android 1.1 – Android Ka Iss Version Me Aapko Message Attachment Save Karne Aur Long In-Call Screen Off Time Out Jaise Feature Diye Gaye The.Iss Feature Ko February 2009 Me Launch Kiya Gaya Tha.
Android 1.5 – Isse Update Se Hi Start Ho Gaya Sweets, Aur Chocolate Ka Naam. Iss Version Me Bahut Sare Version Added Hue Dikhenge. Iss Update Ka Andaar Aap Apna Youtube Channel Par Videos Upload Kar Sakte Hain Aur Picsarts Se Photo Upload Karne Ka Option Mil Jata Hai.Isme Aapko Ek Aur Feature Mileaga Animated Wallpapers Ka Joki Hum Live Wallpaper Bhi Kahte Hain.
Android 1.6 – Isme Hume Kai Naye Cheeje Jaise Gallery, Camcorder etc Feature Dekhne Ko Mile Hain Aur Sath Hi Kai Sare Hardware Ke Support Dekhne Ko Mile Hai Jaise WVGA Screen Resolution Aur Better Camera Resolution.Iss Update Ko September 2009 Me Launch Kiya Gaya Tha.
Android 2.0, 2.1, 2.2 – Iss Update Me Aapko Bluetooth 2.1 Ka Support Aur MicroSoft Exchange Ka Support Introduce Karaye Gaye Aur Sath Me HTML 5 Ka Support Bhi Joda Gaya Jisse Ki Yeah Aane Wale Time Me Website Ya App Asani Se Chal Sake.Isse 26 October 2009 Me Launch Kiya Gaya Tha.Ye Kafi Safal Bhi Raha.
Android 2.2 Me Aapko Minor Improvements Kiye Gaye Hai Aur Iske Alawa Chrome Browser Me Chrome Ka V8 Javascript Support Engine Ko Add Kiye Gaye Jisse website Aur Bhi Optimize Tarike Se Load Hoti Rahe.USB Tethering Aur WiFi Hotspot Ka Support Ko Bhi Add Kiya Gaya Hain.
Android 2.3 – Iss Update Ka Aane Ke Baad Market Me Mobile Ka Parti Logo Ka Interest Kafi Badhta Hua Dikaye Diya.Kai Badi Company Ne Bhi Bharat Me Iss Update Ka Baad Mobile Company Ki Starting Kar De.Iss Update Me Extra Large Yani WXGA Display Ka Support Add Kar Diya Gaya Tha.Isme Kai Sare Software Improvements Ke Sath Sath Kai Sare Multimedia Support Bhi Add Kiye Gaye The.Iss Update Ko 6 December 2010 Me Launch Kiya Gaya Tha.
Android 3.0, 3.1, 3.2 – Android Honeycomb Ko Khaaskar Tablet Devices Ko Dhyan Me Rakhkar Banaya Gaya Tha.Islyie Yeah Hume Mobile Me Jyadatar Dekhne Ko Nahi Mila Lakin Isme Iske Alawa Bhi Kai Sare Changes The.Jaise Native UI Ka Support Hardware Acceleration Aur Navigation Key etc Ka Support Bhi Diya Gaya Tha.Isse 10 May 2011 Me Launch Kiya Gaya Tha.
Android 4.0 – Iss Update Me Kafi Bade Changes Dekhne Ko Mile Hai Jaise Isme Phones Ka Liye Nayi Holo Theme Ko Introduce Karaya Gaya. Aur Iske Alawa Isme Facial Recognition Software Ko Bhi Introduce Karaya Gaya Hain. Jiske Madad Se Aap Face Se Mobile Screen Unlock Kar Sakte Hai.Isme Aapko Onscreen Navigation Buttons Ko Bhi Dekh Sakte Hain.Iss Update Ko 18 October 2011 Me Launch Kiya Gaya Tha.
Android 4.1, 4.2, 4.3 – Iss Update Ka Antargat Graphics Ke Sath Sath Kafi Naye Cheeje Dekhne Ko Mile Jaise Boosted CPU Performance Enhanced Accebility Aur Bhi Kai Cheeje.Iss Update Ko 9 July 2012 Ko Laya Gaya Tha.
Android 4.4 – Iss Update Me Android Kitkat Operating System Me Badlav Dekhne Ko Mila Tha. Isme Aapko Wireless Printing, Bluetooth MAP ( Massage Accezz Profile ) Support, New Refreshed User Interface And Verified Boot Aur Sath Hi Sath Isme Developers Ka Liye Bhi Bahut Sare Badlav Kiye Gaye Hai Jaise Screen Recording Through ADB, Aur Naya API Etc.Android Kitkat Ko 31 October 2013 Me Launch Kiya Gaya Tha.
Android 5.0 and 5.1 – Iss Update Me Aapko Android 5.1, 5.2 Release Kiye Gaye The.Iss Update Ki Khaas Baat To Ye Hain Ki Inme UI Ka Bahut Hi Khaas Design Material Design Introduce Hua Tha. Ye Badi Design Me Se Ek Hain Kyuki Iss Design Ne Android Ka Pura Interface Hi Badal Diya Tha.Iske Alawa Bhi Isme Kai Feature Add Hue The Jaise Update Emoji Aur Smart Lock.Iss Update Ko 12 November 2014 Me Introduce Hua Tha.
Android 6.0 – Iss Update Me Aapko Fingerprint Scanner Support, Doze Mode, USB-C Support Aur Inke Alawa Bhi Kai Naye Update Dekhne Ko Mile The. Iss Version Ko October 2015 Me Launch Kiya Gaya Tha.
Android 7.0 और 7.1 – Iss Update Me Aap Google Daydream VR Support, Improved Doze Mode, Google Assistance, Data Saver Mode, Improved File Browser, Unicode 9.0 Emoji Ka Support Aur Quick Setting Option Jaise Kai Feature Add Kiye Gaye The.Android Naugat Ko 22 August 2016 Me Launch Kiya Gaya Tha. Aur Acchhi Baat To Ye Hai Ki Ye Pixel Phones Ka Sath Launch Kiye Gaye The.
Android 8.0, Android 8.1 – Android 8.0 Aur 8.1 Oreo Android Ke Abhi Haal Hi Me Aaye Sabse Latest Version Hain.Jinme Hume Kafi Kuch Naya Dekne Ko Mila Hain.Inme Kuch Khaas Feature Jo Bataye Gaye Hai Wo-
- Picture-in-picture support
- Multi-Display support
- Google-play protect
- Faster boot time
- Unicode 10 support
- Wifi assitant
Iske Alawa Bhi Kai Feature Hai Joki Aap Developer Option Me Jakar Dekh Sakte Hain.
Conclusion –
To Guys, Mujhe Pure Umeed Hain Ki Aab Aap Samajh Gaye Honge Ki Android OS Kya Hain? Android Kya Hain? Aur Iske Updated Version Ke Bare Me.Aur Ye Kaise Kaam Karta Hai.Agar Aapko Ye Post Pasand Aaya Hain To Isse Apna Dosto Ke Sath Share Jarur Kare.Agar Aap Aise Hi Jankari Pana Chahata Hain To Hume Social Media Par Follow Jarur Kare.
Lakin Agar Abhi Bhi Aapka Koi Sawal Ya Sujhau Hai To Comment Box Me Comment Karke Jankari Le Sakte.Mujhe Aapki Help Karne Me Khushi Hogi.
Thanks For Visiting………
मेरे पोस्ट के प्रति अपनी प्रसन्नता और उत्त्सुकता को दर्शाने के लिए कृपया इस पोस्ट को Social Networks जैसे कि Facebook, Google+ और Twitter इत्यादि पर Share कीजिये